HAZRAT FAZL E REHMAN (URDU)

ALLAH tala nay ye sari kayenaat ko banaya to sirf aur sirf apne mehboob Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka martaba logo ko batane kay liye ki mera mehboob mere liye kya hai. Warna ALLAH ko koi zaroorat nahi thi hum jaise gunah garoon ki, Na to wo hamari ibadat ka mauhtaj hai na hamari kisi cheez ka, balki hum uskay har tarah se mauhtaj hai. Is Duniya-E-Fani ko sajane kay baad usne har waqt hum ko gumrahi say bachane kay liye nabiyon ko bheja jo hamay rahey haq ki dawat detey rahey aur sidhi rah dikhate rahey, Kafi arsa isi tarah guzarta raha aur ek waqt aya ki sarey nabiyon kay sardar ka ana hua jin ka nam hi isme azam hai aur har marz ke dawa hai mere aur hum sab ke pur noor jinke liye sari tariff choti hai Hazrat Mohammad Mustufa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) is duniya main jalwagar huey.

Aap Deen-E-Islam apne sath laye aur puri insaniyat ko anmol tohfa diya Jis say insaniyat aaj tak is deen ki rehmat se sarabor ho rahi hai aur qayamat tak hoti rahegey. Ye who deen hai jo ALLAH ko khud sabsey zyada pasand hai. Hamare pyare nabi (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) kay baad to nabuwat ka silsila ruk gaya, unke baad Sahaba-E-Karam, Tabaen aur Tabetabaen nay Deen-E-Islam pehlaya aur akhir main Aulia-E- Karam ka silsila shuru hua jo Imam-ul-Aulia Hazrat Maula Ali Muskil Khusha(radhi Allah ta'ala anhu) kay daste-e-bayyat se aagey bhada. ALLAH nay apne Mehboob(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) kay baad in Aulia-E-Karam say kaam liya jo Deen-E-Islam ko duniya kay har ek konay may phailane ka kaam karte rahey aur hum gunha garoon ko ALLAH aur uskay Mehboob Hazrat Mohammad (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki pyari sunnato par kaise amal kiya jaye aur sirate mustakim par kaisa chalna hai is ka tarika sikhatey rahey aye hai.

Aaj mai ap logo ko aise hi baa kamaal buzurg Owais-E-Dauran Gaus-E-Zamaan, Qutub-Ul-Waqt, Imam-ul-Mujaddidine Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay baray main batane wala hun jinki puri zindagi logo ko rahe haq aur ishq-e-Mohammadi (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki talim detay huay guzari hai. In Buzurg kay baray main jo bhi likha jaye kum hai. Ye wo buzurgi rakhne waley buzurg hai ki jinka taskara arsh se farsh tak har jagah hota hai.

Inki Buzurgi aur ishq ka ye aalam tha ki jab chahtey Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka didaar karlete. Hazrat Waris Ali Shah(rehmatullah alaih) Jinke Mazar Sharif Barabanki Main hai wo to ye farmate hai ki Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) wo buzurg hasti hai ki jin hone nay kabhi Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko bina puchey mureed hi nahi banaya(subhanALLAH). Ab aap log khud andaza laga saktey hai ki kya martab hoga Hazrat ka, Hazrat ki to shaan ye thi ki aap jab chahtey Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ka didar karliya karte thay aur jisko chahte Hazrat Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki bargah main khada karkey didar kara dete(SubhanALLAH).

TAALIM WA TARBEEYAT

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay farmya ki darse nizami wa fiqah wa usool wa kalam waghaira ki takmil hamney bahrul ullom Maulana Mohammed Noor Sahab Firangi Mahal say ki unkay walid Maulana Mohammed sahab(rahmatullah alaih) nay jane kya dekha ki masnad par humko bithate apni khushi se bakamal e shafkat puri baizavi phir hidaya mukamal padaye. Tafseer fiqah ka hum kabhi ded juz aur kabhi do juz padhtey ye khuda ki dain thi ki humko un musanifane kutub se faiz ata yahan tak ki "Yusuf Jhuleka" padhtey waqt Hazrat Yusuf(alalih salaam) se faiz aya karta.

Huzoor ala(rahmatullah alaih) nay farmaya ki pehli baar 1221 hijri main delhi apne murshid Imam-Ul-Auliya Hazrat Khwaja-E-Afaq sahab (rehmatullah alaih) ki khidmat main mureed hone gaye baad bayat khwaish usool-e-hadees sharif bataye, murshid sahab nay duain dekar ijaazat bakshi, awwal roz Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) ki khidmat main padhney kay liye gaye to aap nay aam talba ki tarha tawajo rakhi baad dars us shab ko hum bhookey pade rahey, magar usi shab ko Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) sahab nay pata nahi kya dekha ki subha tadke ek admi humko bulane ko bheja magar hum baad magrib ijaazat murshid lekar gaye, Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) bakamaal shafkat pesh aye ye hidayat ki aaj se shyam ka khana hamre sath hi khaya karo, phir hum isha baad se tahajud ke waqt tak padha yahi waqt dars-e-hadees hogaya. Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) sahab apne damad Hazrat Sayed Zahirudine Shaheed(rahmatullah alaih) ke siwa aur kisi ko sharikh dars nahi kartey. Bhukhari Sharif 18 juz(part) ek waqt main padhkar hamne khatam ki apne bohat duain di. Hazrat Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ye bhi farmatay hai ki jo kitabain log 2 baras main khatam kartay wo hum sirf 15 din main khatam kar letay, Bukhari Sharif hum nay 15 din main puri karli thi.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay farmaya ki ek din Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi(rahmatullah alaih) say unkay damad nay kaha ki isha say tahajud tak Maulvi Fazle Rehma ko padhane kay bajaye koi aur waqt mukarar kardain. Hazrat Shah Abdul Aziz Dhelvi (rahmatullah alaih) nay farmaya ki sabse ahleda (alag) Maulvi Fazle Rehma ko padhane ka raaz hai ki wo tawajohatey Risalat (sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) say padhtey hai, unko barabar Huzoori Risalat (sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) rehne kay sabab main bhi ye mehboob rakhta hun ki meri bhi raatain Hadees Quran Khani say Huzoor Risalat (sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) main guzarey, fakat tumko isi sadat yabi kay liye bithata hun, halaki tum kabhi kabhi shirkat karte ho warna main to chata hun ki tum Maulvi Fazle rehma say ilm hasil karo unko bafaiz Mustuafai (sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) Ullom ata ho rahey hai.

Sab kuch Rasool-E-Khuda(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) say Fazle Rehma puch lete hai aur paa lete hai, warna is tarah raat bhar kaun pada karta hai aur kaun pad sakta hai.(SubhanAllah) kya martaba hai mere sarkar apka.

Ye haqikat hai jisnay Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) ko nahi dekha ho wo unke badey sahab zadey Hazrat Maulana Ahmed Miyan Sahab (rehmatullah alaih) ko dekh lay, ye dono Hazrat Lazim wa Mazlum wa Sahi Nisbat ke dulha Wilyat ahsan kay tajdaar hai. Aap murshid-e-dauran Maulna Fazle Rehma(rehmatullah alaih) aur Ahmed Miyan Sahab (rehmatullah alaih) ko Owais- E- Dauran, Gaus- E - Zaman, waghayra jo bhi apki aqeedat wa basirat faisla karey keh lijiye, lekin asliyat ye hai ki iske bawajood aap ke tasali nahi ho pati jab aap ye sunte hai ki Bahru-ll-Uloom Maulana Abdul Haye Firangi Mehali, Maulana Jaan Ali Saheban Mohadis Bihari, Muhajir Makki Mukarama, Maulana Suleman Sahab Phulwari wagehra (rehmatullah alaih) aksar wa peshtar ka yeh kehna tha ki "Jisne Nisbat Mohammadi(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) aur Shaan -E- Sahaba Karam (radiallahutala anhu) na dekhi ho to woh Hazrat Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) aur Hazrat Maulana Ahmed Miyan Sahab (rehmatullah alaih) ko dekhle.

INTRODUCTION OF HIS PEER SAHAB

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) kay mureed aur janasheen khalifa thay. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka khooni aur roohani rishta in charo badey silsilo sey hay Qadriya, Chistiya, Naqshbandiya, Shorwardiya aur aap in hi silsilo main logo ko bayat bhi karte thay. Aap kay Pir Sahab nay apko Silsila-E-Madariya ki talim bhi di thi, Par apne silsila Naqshabandiya ko sabse zyada pasand kiya.

Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) 1160 hijri mai paida hui they. Aap Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rahmatullah alaih) sey murred huay aur baad mai unhi se khilafat hasil hui. Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rahmatullah alaih) kay parde kay baad aap Hazrat Mir Dard(rahmatullah alaih) jo khalifa thay Hazrat Mohammad Nasir Andalib(rahmatullah alaih) kay aur unkey hi betay thay aage ki taalim aap ne inhi se li.

ALLAH tala ne Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ko kubule aam farmaya tha aur unko Shehar-E-Aafaq bana diya tha. Delhi say Kabul tak logo ne Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) se faiz uthaya khud Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) Kabul tashrif le gaye aur Zama Shah Shah-E-Afghanistan ko mureed banaya.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki hamrey Pir Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) 10,000 martaba durood sharif aur 50,000 martaba kalmaye tayab roz padtey thay. Aur 10 se 12 kuran sharif tahajud main padhne ka mamul tha. Aur 10 Quran Sharif kay parey itne der me padtey ki logo ko lagta ki ek para hi padha hoga. Aur 5 times salato tasbhi padhte. Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) bahut narm dil aur mohabbati thay.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki un kay Pir Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) sari baatien sunnat ke mutabik hi kartey thay. Hazrat Shah Ghulam Ali dhelvi (rahmatullah alaih) jo Hazrat Mirza Mazhar Janejana(rehmatullah alaih) ke mureed aur khalifa hai aur naqshbandiya silsile ke kafi bade buzurg hai, aksar apne mureedon ko talim kay baad Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) kay paas talimat kay liye bheja karte thay.

7th moharam 1251 Hijri ko Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) ka is duniya-e-fani se parda hua. Aap ki mazar sharif Delhi main Pulbangash metro station Roshan Aara Road ke pass hai Punjab & Sindh Bank se thoda agey Jaidka Handloom House Kay Samane, Bedi & Company ke bagal main ek hara paid(tree) hai mazar ke samney. Hakikat mai ye jagah par rehmat wo noor ki barish dikhti hai aur zahir mai ek aam jagah se lagti hai. Agar address dhundney main taklif ho rahi ho to mujhey call karey 9768020282(mumbai)/7503040282(delhi) (mazhar rehmani).

BAYAT WA KHILAFAT

Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rahmatullah alaih) apne waqt kay bohat buland martabe wali shaksiyat thi aur bohat paye ka wali thay, jab Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) inke pass bayat hone kay liye aye to inhey pehley say pata chal gaya tha ki aanay wali zaat kaun hai aur kis bulandi par fayaz hai, aap ne apne khulfa wa mureedon ko Hazrat Fazle Rehma Gajmuradabadi (rahmatullah alaih) ka khair makhdam karne kay liye dur tak rawana farmatey huye kaha ki mere pass ek aise hasti arahi hai jiski mureedi mere liye baaise fakr hogi, Aisi shaksiyat ka zahoor kaey sadiyon kay baad hua karta hai, Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) hazir bargahe karam huye to Hazrat Afaq Sahab (rahmatullah alaih) ne aagey badhkar sinay say laga liya aur phir kaun keh sakta hai ki andaze mohabbet main kya kuch nahi ata kardiya, yahi nahi balki bayat karne kay baad apne ghar layjakar apni sehzadi saheba aur damad Hazrat Maulana Shah Abdul Gani Sahab(rahmatullah alaih) say farmaya ki Maulvi Fazle Rehma ko nazr pesh karo ye wo hai jinko hasil karne ki koshish bohat se Buzurgon nay ki par ALLAH nay ye khaas karam hum par farmaya. Inka hamainy bohat intezar tha aur tamam alam inke daryae faiz wa rehmaton nemat se sayrab hoga.

Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne ek arsa apne pir ki khidmat main guzara aur unsey faiz hasil kartey rahey aur fuyuz bataini aur barkate roohani se qalb aur rooh ko munawar kartey rahey, phir kuch waqt baad khilafat ka taaj hasil kiya aur phir apne pir sahab ke hukum se watan wapas akar hidayat ka kaam anjam diya.

KHANWAD-E-FAZL-E-REHMA(REHMATUL LAHI ALAIH)

Walid ki taraf say Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) 31st Pusht (generation) main Hazrat Abu Bakr Siddique(radhi Allah ta'ala anhu) say jakey miltey hai. Aur walda ke taraf say Sayed hai. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay walid ka naam Makhdoom Ahlullah Miya (rahmatullah alaih) hai aap ka nikah Mohtarama Basirat bibi Sahiba se hua, Jo Hazrat Rehmat-ullah shah (rahmatullahalaih) ki beti hai. Hazrat Rehmat-ullah shah(rahmatullah alaih) dadhiyali taur se aulad-e-khas Hazrat Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi (rahmatullah alaih) se hai. Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi(rahmatullah alaih) ka nasbi taluk Hazrat Sayed Nasiruddin Chiragh Dhelvi (rahmatullah alaih) aur Hazrat Sayed Shahbhuddine Soharwardi (rahmatullah alaih) wa aulad Khwaja-E- Khwajgan Hazrat Sayed Bahauddin Naqshbandi (rahmatullah alaih) say hain.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) Mallawan Sharif Kay Rehne Wale thay, aap ki paydayish bhi Mallawan Sharif main hui thi. Mallawan district unnao (U.P) main ek kasba hai jahan par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gajmuradbadi(rahmatullah alaih) kay dada Huzoor Hazrat Makhdoom Misbah Piya urf Maggan miya(rahmatullah alaih) ki mazar-e-akdas hai.

 

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) ki mazar sharif ka link ye hai please nichye click karain :

 

aulia-e-hind.com/dargah/MallwanShariff

MAKHDOOM MISBAH PIYA (REHMATUL LAHI ALAIH)

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(reh) Makhdoom Sahab(reh) ki 9th pusht (generation) main ate hai.

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) ki paidayish 810 Hijri main hui thi, aap Panipat main paida huey thay ibtedaye shabab main ap multan jakar shaikh-ul-islam Hazrat Bahauddine Zakariya Multani(rahmatullah alaih) ki khanqa main rehkar Maulana Mohammed Hussain(rahmatullah alaih) se uloom dars sikha aur haj se musharaf huey. Kuch waqt kay baad aap nay talsh-e-murshid shuru ki aur is silsila main mashriq ka rukh kiya aur Lucknow main Maulana Aazam Saani (rahmatullah alaih) aur Hazrat Shah Mina Shah (rahmatullah alaih) ki sohbat main kuch waqt guzara phir awadh main Shaikh Ahmed Sarthi(rahmatullah alaih) ki khidmat main manzile sullok teh kiya aur silsila chistiya main bayat li, iske baad aap kay shaikh ki ijazat say hi Hazrat Shaikh Jalaludine Gujrati(rahmatullah alaih) jo Pandva, Bengal main thay unki khidmat main pahunche aur unsay aagay ka sabak hasil kiya aur ek roshan zammer wali Allah bangaye aur kuch din baad khilafat se sarfaraz huey.

Hazrat Jalaluddine Gujrati(rahmatullah alaih) ne unko "Mishbahul Ashquine" ka laqab diya, Kuch waqt kay baad Hazrat Jalaludine Gujrati(rahmatullah alaih) apne har mureed ko Misbah Piya(rahmatullah alaih) kay supurd farmatey aur unke hath Kharqe Khilafat ata farmatey.

Apne Murshid Sahab kay pardey kay baad aap nay Pandava Chod diya aur Bihar main kuch waqt rahey wahan logn ko mureed kiya us ke bad apne murshid Sahab ne hayati main jo hukum diya tha us par amal kartey huey magrib ki taraf rookh kiya aur 881 Hijri main Mallwan Sharif tashrif laye, Yahan apne deen-e-islam failaya aur kafi log ko iman ki dolat se nawaza aur gumrahi se rahe haq ki taraf mod diya. Apka parda 939 hijri 1 rajab ko hua tha tab apki umar akdas 123 saal thi.

Hazrat Makhdoom Misbah Piya(rahmatullah alaih) kay barey main ye kaha jata hai ki ye ishq-e-nabi(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) main aisey dubey huey thay ki in ki surat(face) mubarak puri tarah hum sab ke pyare Huzoor(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalam) say milti thi, is wajah se kafi Aulia Allah aap ki ziyarat kay liye aatay thay, aur aap kay jalal ki kya baat, aap jis darakht(tree) ko dekh lete thay wo sookh jaya karta tha "Allah ho Akbar". Is par aap ALLAH say kehte is me mera koi kasoor nahi hai ye bhi teri diey hui sift hai.

Ek baar ek jalsay main Hazrat Shah Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah-alaih) nay farmaya ki hamaray jad day amjad Hazrat Makhdoom Misbah Piya (rehmatullah-alaih) chisty thay par khilaf-e-shara sama wagaira na suntay thay, Hazrat Khwaja Banda Nawaz Gesu Daraz (rehmatullah-alaih) khalifa Hazrat Chiragh Dhelvi (rehmatullah-alaih) say apka silsila hai. Phir Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) ki yeh karamat bayan ki. Ek din Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) darwazay pay baithay thay door say hinduo ki baraat gana gati bajati aanikli, Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) kay khalifa Hazrat shah wajhiudin sahab (rehmatullah alaih) nay mana kiya ki Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) chukhi darwazay pay tashrif farma hai is liye khamoshi wa adab say guzar jaye lekin baratiyo nay na mani to Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) nay palak(nazar) utha kar in logo ki taraf dekha to sab ki sab aakar musalaman ho gaye aur mureed bhi ho gaye. Phir irshad farmaya ki sab ki haqiqi barat ho gaye. Is par Hazat Ahmad Miya sahab(rehmatualh alaih) nay farmaya ki ek martaba makaan banany kay liye ek shayteer(mota lamba lakda) aya to wo itefaq say chota pad gaya Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) nay farmaya tum darakht(tree) main to badhtay ho to yahan bhi bhad jao ab jo lakda rakha  gaya to bilkul thik tha. Hazrat Shah Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah-alaih) nay is karamat ki tasdik farmaye.

Jab Hazrat makhdoom sahab (rehmatullah-alaih) shuru main mallawan tashrif laye to apka mukabla badsha e jinnat shah sikandar say hua bil aakhir shah sikandar muti(farma bardar) hokar mureed ho gaya aur aisi atat ki, ki aaj tak urs sharif main pehlay shah sikandar sahab ka fatiha ho leta hai baad main makhdoom sahab ka fatiha hota hai. Makhdoom sahab ki masjid kay konay may makaan kay goshay main lakhori eton(briks) ka khamba baki hai yahi shah sikandar ki kayam gah aur ab aaram gah bhi hai. Is hissay ka bahar Hazrat Makhdoom Hafiz Shah Abdur Rahim Sahab (rehmatullah-alaih) aur Ahlulaah Miya Sahab(rehmatullah-alaih) jo Hazrat Shah Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah-alahi) kay walid sahab hai un ki mazar shairf kayam farma hai.

Hazrat Shah Maulana Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah-alaih) ki 3 shadi hui thi pehli Mallawan sharif main unsey apko do sahab zadey huey awwal Shah Abdur Rehman Sahab(rehmatullah-alaih) dusrey Shah Abdur Rahim Sahab(rehmatullah-alaih) huey. Awwal sahab zadey ki aulad kamsini main faut hogaye. Dosre betey ki 2 ladke huey awwal Shah Tabarak Hussain(rehmatullah-alaih) dusrey Shah Hameed Hussain(rehmatullah-alahi) phir ek dukhtar huey, kuch roz baad apki pehli biwi ka parda hogaya. Isi bich aap ko mallawan ke log bohat pareshan karne lage din ba din taklif badhne lagi, phir aap sunnat-e-rasool(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) ada karte nazar aye aur hijrat karte huye ap Gunjmuradabad Sharif tashreef laey aur yahin sakunat ikhtiyar ki yahin aap ne dusri shadi ki jis se Silsila-E-Fazle Rehmani agey badha.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ki dusri biwi se 2 sahab zade hue Pehley Ka Naam Hazrat Maulana Shah Ahmed Miyan Sahab (rahmatullah alaih) jin say Silsila-E-Rehmani Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) kay pardey kay baad aagey bhada, aur dusre beta ka naam saidu baba tha jo ki paydayshi mazoob thay, aur ek ladki huey jinka naam Shafkat Bibi tha. Hazrat Ahmed Miyan Sahab(rehmatullah alaih) kay 2 betay huey Hazrat Maulana Shah Rehmatuallah miyan Sahab(rahmatullah alaih) jo ki apne waqt ke Abdaal guzre hai aur jo ki gaddi nasheen bhi thay, Hazrat Ahmed Miyan Sahab (rehmatullah alaih) kay dusre betay Hazrat Maulana Shah Nematuallah Miyan Sahab(rahmatullah alaih) jo itne sakhi thay ki agar raste main koi bina kapde dikhaye deta to apna kapda Utar kar usay day dete thay.

Hazrat Rehamatuallah Sahab(rahmatullah alaih) ki aulad bachpan main hi parda kargaye thi. Hazrat Nematuallah Miyan Sahab (rahmatullah alaih) ki 2 shadi hui pehli biwi se Hazrat Maulan Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) jo ki mere peer sahab bhi hai, aur dusrey Hazrat Maulana Shah Mohammad Miyan sahib (rahmatullah alaih) jo ki mere nana hazrat hai.

Aur dusri biwi se Hazrat Afaq Sahab(rahmatullah alaih), Hazrat Fazlu Miyan, Hazrat Rafiq Miyan(rahmatullah alaih). Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih), aur Hazrat Shah Mohammad Miyan (rahmatullah alaih) ko baad main Hazrat Shah Rehmatuallah Miyan Sahab(rahmatullah alaih) nay god lay liya, aur Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) aur Hazrat Shah Mohammad Miyan Sahab(rahmatullah alaih) ko sari talimat zaheri wa bateeni dilane ke baad apna janasheen banaya aur silsile Fazl-E-Rehmani ko aagay badhane ki zimmedari in ke khandon par dal di aur Hazrat Shah Afzalur Rehman(rahmatullah alaih) ko gadi nashien banaya. Hazrat Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rahmatullah alaih) ne bhi ye zimedaari bakhubi nibhai aur silsile Fazl-E-Rehmani ko duniya ke har ek kone main phailaya, un ki buzurgi ka bhi kya kehna tha unka jina hi tha ishq Fazl-E-Rehma, Raza-E-Sarware Kaunain(sal-lal-laho-tala-alaihi-wasalm) aur ALLAH kay liye. In hone ne apni zindagi main bahut say karishme dikhaye hai, jinhe bayan karne ke liye ek alag bab likhna hoga. Hazrat Mohammad Miyan Sahab(rahmatullah alaih) bhi bohat ba kamala buzurg guzre hai in ki sari raat ibadat aur riyazat main guzarti thi, ek baar aap ne apne ek mureed ko jo Madina aur Makkah sharif ko dekhney ka kwahish mandh tha par maali halat thik na hone ki wajah se nahi ja pa raha tha usko Kaba Sharif aur Madina Sharif apne hath mubarak main dikha diya tha, in hone ne bhi silsile Fazl-E-Rehmani ko khub phailaya.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(reh) Makhdoom Sahab(reh) ki 9th pusht (generation) main ate hai.

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) par ALLAH kay Habib(sal lal laho tala alahi wasalam) ka kuch khaas hi karam hai ye unki hi dua hai ke aaj jahan bohat say khankaon kay khadani cheragh bhujte nazar arahey hai wahi khandan-e- fazl-e-rehmani ki cheragh jagmaga rahe hai aur InshAllah qayamat tak jagmagate rahey gay aur logon ko rahe haq ki dawat detain rahenge aur unke gunahon se nijat dilate rahenge.

Waise to is khandan ka har bachha noori hai bus us ko Ishq-E-ILahi ki aag main apne aap ko ek baar dal dena hai aur ba fazl-e- Habib(sal-lal-laho-tala-alahi-wasalam) kay sadke nooraniyat ka jama pehan kar nikalna hai. Jis Jis ne aisa kiya aur fanaiyat ki taraf rukh kiya who faiz pata gaya aur Faizan-E-Fazl-E-Rehmani ki sarparsti main najat patagaya aur dosro kay liye bhi najaat ka zariya banta chala gaya. Ye khas dua ki thi Hazrat Maulana Shah Fazl Rehma Ganjmuradabadi (rehmatullah alaih) nay apne parde ke waqt aur ALLAH nay isko kabul bhi kiya.

SHIJRA KHANDAN-E-NASAB

HAZRAT SAYYEDINA ABU BAKR SIDDIQUI(RADIALLAHUTALA ANHU),

HAZRAT IMAM MOHAMMED, HAZRAT SAYEEDINA IMAM QASIM,

HAZRAT ABDULLAH,

HAZRAT SHAIKH MOHAMMED HADIS,

HAZRAT SHAIKH MOHAMMED SABIT,

HAZRAT SHAIKH FAKHROOL ISLAM,

HAZRAT SHAIKH ABDULLAH RUMI,

HAZRAT SHAH AHMED KALA,

HAZRAT SHAH MOHAMMED JOUN,

HAZRAT SHAH FAKHIUDINE, HAZRAT SHAIKH ABU BAKR,

HAZRAT SHAIKH AHMED SUFI,

HAZRAT SHAIKH SHAHBUDINE MAKKI ZAHID SHAHEED (IMAM HARAM),

HAZRAT FAKHARUDINE(MADARZAAT WALI),

HAZRAT MAKHDOOM UDHAM DANA,

HAZRAT MAKHDOOM SHAHBUDINE SANI ZAHID BIHARI,

HAZRAT MAKHDOOM SHAH MOHAMMED DAWOOD,

HAZRAT MOHAMMED MAKHDOOM SHAH MAGHAN ,

JADE ALA WA MAKHDOOM ALA HAZRAT MISBAHUL ASHIQUINE,

HAZRAT MAKHDOOM HAFIZ ABDUR RAHEEM URF BANDEGI MIYAN,

HAZRAT MULLA ABDUL LATIF,

HAZRAT MAULANA NOORULLAH,

HAZRAT SHAH SAUDULLAH,

HAZRAT MAKHDOOM ABDUL QADIR,

HAZRAT MULLA BARKATULLAH,

HAZRAT MULLA MOHAMMED FAIYAZ,

HAZRAT SHAIKH MAKHDOOM AHLULLAAH MIYAN,

HAZRAT MAULANA FAZLE REHMA GANJMURADABADI.

BACHPAN SAY SHAUK-E-RIYAZAT

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ki paidayish 1st Ramzan-ul-mubarak 1208 hijri main hui thi. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) ka buzurgi ka andaza isi baat say laga sakte hai ki in kay naam ka aur in ki paidayish ka adad(total) ek hi hai 1208. Aap ki paidayish ke waqt lag raha tha ki har jagah noor ki barish ho rahi hai. Aap ne porey Ramzan-ul-mubarak ka mahine apni maa ka dudh magrib kay baad hi piya, din bhar aap auron ki tarah roze se rehte(SubanALLAH) Bachpan se hi ALLAH ki yaad may magan rehte aur aksar tanha rehna pasand kartey. Jab bacchey inhe khelne ko bulate to wo un se kehte ki main is liye nahi paiyda hua hun.

Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) Khalifa Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rahmatullah alaih) Mallawan main raha karte thay, ek din Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne pucha Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) say ki aap aksar gardan(neck) kyun jhuka liya kartein hain. Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) nay jawab diya ki beta zikr-e-ilahi karta hun. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne kaha ki mera bhi ji chahta hai ki mai bhi zikr-e-ilahi karun aur Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) se kaha ki awo unko bhi sikha day zikr-e-ilahi karna ye baat tab ki hai jab Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ki umar sirf 3 ya 4 sal ki thi. Maulvi Haider Ali shah(rahmatullah alaih) ne unko talim dena shuru kiya chand hi mahine me aahate kuwat-e-ruhani Maulvi Haider Ali shah (rahmatullah alaih) kay haath say bahar hogayi to miyan Haider Ali shah (rahmatullah alaih) nay delhi apne murshid ki khidmat mai Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ko bhej diya. 9 sal ki umar bhi nahi hone payi thi ki walid ka saya Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradbadi (rahmatullah alaih) kay sar say uth gaya, aap ki walda ne uske baad apki parwarish ki, aap bhi khub dil laga ke ullom wa deen hasil kartey rahein.

 

Karmat-E-Buchpan

1) Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) khud irshad farmate hai ki humko bachpan mai hi Huzoor Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) aur Sahaba-e-Karam(Radi Allahu anhu) ki ziyarat aksar hua karti thi. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradbadi (rahmatullah alaih) ko bachpan se kubuliyat amaa hasil rahi. Insaan to insaan haiwan bhi aap kay ghulam thay. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) farmate hai ki Bachpan mai humnay kabutar palay ek kabutar ko billi(cat) lay bhaagi Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay billi(cat) say kaha chod day ushi waqt billi(cat) ne kabootar chod diya.

 

2) Ek bar ek bhediya ek chote say bachey ko utha kar bhaag raha tha sab log us bhediya kay pichey bhagey bachey ko bachane jab wo bhediya ka guzar Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradbadi(rahmatullah alaih) kay samne say hua to Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih) nay us bhediya ko ghur kar dekha bus itna karna tha ki wo bhediya wahi bachey ko chod kar bhag khada hua. Us waqt bhi Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ki umar 4 say 5 saal ki hogi.

 

3) Ek Dafa Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah Alaih Se Unke Mureedo Aur Kuch Logo Ne Shikar Par Jane Ki Zidd Ki Aur Majboor Karne Lage To Aap Maulana Baba Ne Farmaya, "Acha Chalo, Hum Chalte Hai Isi Bahane Ek Sunnat E Rasool Bhi Ada Ho Jayegi" Phir Ap Apne Farzand Hazrat Ahmad Miya Rehmatullah Alaih Ke Sath Chal Diye Aur Teer-kaman Mangwa Kar Aap Ne Bail Gaadhi Par Rawangi Ki. Zuhar Ka Waqt Aya To Aapne Wuzu Kiya Aur Kaha Ke Sab Log Namaz Padhlo Aur Bila Ijazat Koi Bandook Na Chalana. Jaise Hi Namaz Hone Lagi Waise Hi Janwaro Ke Jhund Nikalne Lage Aur Hazrat Maulana Fazle Rehma Baba Ke Salam Pherte Hi Do Logo Ne Bandook Chalakar Firing Kardi Magar Naa Hi Hiran Apni Jagah Se Hile Aur Na Hi Koi Nishana Laga .hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah Alaih Ne Bigadh Kar Kaha Ke, "Tum Logo Ko Badha Naaz Tha Apne Nishane Par, Ab Kya Hua" Phir Aap Hazrat Ne Ek Teer Chalakar Shukr Kiya Ke Allah Ne Is Sunnat E Rasool Ko Ada Karne Ki Taufeeq Bakhshi. Phir Ap Hazrat Maulana Baba Ne Buland Awaz Se Farmaya, "Do Hiran Hamare Paas Aa Jaye,!  "Logo Ne Dekha Ke Do Khushnuma Hiran Khubsurat Seengo Wale Paltu Janwar Ki Tarah Chale Aa Rahe Hai Aur Ek Hiran Ap Hazrat Maulana  Baba Ke Daaye Janib Aur Ek Baaye Janib Aakar Khadha Ho Gaya. Logo Ne Chaha Ke Zinda Pakadh Le To Hazrat Ne Farmaya Ke Khabardar!  Pakadhna Mat, In Hirano Ne Tumhari Khushi Puri Kardi Aur Ab Tum Inki Khushi Puri Kardo Yani Ke Inko Azaad Kardo, Phir Ap Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Baba Ne Hirano Par Hath Pherkar Unko Rukhsat Kar Diya.

 

4) Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi Rehmatullah Alaih Ki Ek Mureeda Apke Paas Aastane Par Ayi Aur Arz Kiya Ke Sari Fasal Bandar Ujaadh Dalte Hai. Maulana Baba Ne Farmaya, "Jab Tum Apne Ghar Se Chali Thi To Humne Usi Waqt Bandaro Ko Daant Diya Tha Woh Sab Tumhare Ilaaqe Se Bhaag Gaye."Us Mureeda Ko Hazrat Ki Baato Par Shak Hua Aur Phir Se  Arz Karne Lagi, Is Baat Par Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Baba Ne Farmaya Ke Aankh Band Karo Aur Hamari Baat Ka Saboot Dekh Lo. Us Mureed Khatoon Ne Ankh Band Karte Hi Dekha Ke Us Aurat Ki Zameen O Makan Hi Nahi Balki Woh Ilaqa Hi Bandaro Se Khali Ho Gaya, Woh Aurat Hairan Reh Gayi, Is Baat Par Hazrat Ne Farmaya Ke Khuda Ka Shukar Karo, Ab Kabhi Janwaro Se Tumhari Fasal Kharab Na Hogi

 

5) Ek Bar Ganj-muradabad Me Ek Madari Bhalu Ka Tamasha Dikha Raha Tha ,kisi Wajah Se Bhalu Madari Ke Kehne Par Kaam Nahi Kar Raha Tha...madari Ko Gussa Aaya Or Wo Bhalu Ko Marne Laga. Bhalu Ki Uchal Kood Me Uske Muh Par Bandha Hua Ghera Toot Gaya Or Bhalu Madari Ko Patak Kar Logo Ki Taraf Lapka Or Ek Ladhke Ko Pakadh Lia....ye Bat Sunkar Maulana Baba Fazle Rehma Gunjmuradabadi Alaihir Rehma Bahar Aaye Or Bhalu Se Farmaya ""Kya Karta Hai?ladhke Ko Chodh De.

Ye Sunkar Fauran Bhalu Ne Ladhke Ko Chodh Dia Or Chup Chap Khadha Ho Gaya....ladhke Ko Jaha Bhalu Ne Nocha Tha Waha Molana Baba Ne Apna Luwab Lagaya Or Khoon Behna Fauran Band Ho Gaya Or Ladka Bhi Bohot Jald Thik Ho Gaya.

Sub han ALLAH mere baba huzoor kya wilyat hai aapki ki insan kya charind parind haiwan sab apki ghulami kartay nazar arahay hai.

 

Hurane Bahisht Ka Salaam

 

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) farmate hai ek bar wo tifli mai apne kothay(terrace) par baithey huay thay ki bahar se logo nay shor machaya ki kothay par aurate kaise khadi hai phir thodi der main sab gayab hogayi(subhanALLAH) kya madarzat Qutubiyat wa alwaye muratib thay ki buchpan se hi hoorein salam ko aatei thi.

 

Nisbat-e-Mustafai(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) 

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka Ishq Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) se kuch aisa tha ki lafzo main bayan nahi kiya jaa sakta hai unki har ada hi Raza-E-Mohammad (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) thi. Unka uthna bolna baithna chalna yahan tak ki sans lena bhi Ishq-E-Mustafa mai tha(subhanALLAH). Aap Farmatey hai, ki jin galiyon se Mohammad Mustafa(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) guzre hai un galiyon kay kuchon ko main apni palkon say baharun. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradbadi (rahmatullah alaih) farmatey hai ki ek bar unki Zaujaye Hayat(Wife) un kay sath baithe huey thi to hamare pyare Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) tashrif latey hai ek pir zada Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradbadi (rahmatullah alaih) kay khidamt mai tashrif laya to Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko dekhte hi behoosh hogaya hosh ane ke baad Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ne pucha ki arey bhai behosh kaise hogaye to us pir zade nay jawab diya ki Huzoor (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) kay Jamaal se behosh hogaya to Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay farmaya ki bus ek hi jhalak main ye haal hai.

 

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) farmatey hai ki kayi baar puri panjatan paak ka gahrana is masjid main tashrif lata hai aur ek bar aap nay Hazrat Maula Ali Mushkil Khusha(Radi Allahu anhu) ko dekha who mujhse farmate hai ki andar ajaao mujhe badi hichak lagi phir aapne dubara kaha to mai adban andar aagaya to wahan Maa Khatoon-E-Jannat Bibi Fatima(Radi Allahu anha) ko dekha unhone mujhe beta kehkar apne sine mubarak say laga liya aur farmaya:

 

Ki Tum Biradar E Hussain Ho....aur aksar Hazrat ko khwab me didar ata farmati.

Hazrat Ayesha Siddiqa(Radi Allahu anha) bhi isi tarah Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) ko chahti thi aur jab bhi Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) bimar hote to aap unke paas tashrif lati aur apna hath Hazrat (rahmatullah alaih) kay sar par phair deti tashrif lane par fauran Hazrat ki tabiyat thik hojati (SubhanALLAH).

 

" Ek ye gahr hai ke goya maktabe Jibrile"

Warna Din-e-Madarse mai mausami talim hai"

 

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay irshad farmaya ki yeh wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) aksar tashrif late thay aur Mohammad Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ne is masjid main namaz bhi padhi hai (SubhanALLAH). Jo koi is masjid main kadam rakhega uski akbat bakhair hogi. Dada Miya Rehmatuallah Miyan Sahab jo Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman Ganjmuradaabadi(rahmatullah alaih) ke Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai Yahan Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau), Hazrat Nizamuddin Aulia(rahmatullah alaih) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late thay. Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri(rahmatullah alaih) farmate hai ki unhone khud masjid Fazl-E-Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rahmatullah alaih) aur Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau) ko tashrif farma dekha hai.

 

Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par majboor hojata hai ki

 

"Nabi Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main,

Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehman, Fazl-E-Rehman Ki,

Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe,

Janab Fazl-e-Rehman Mai Hai Panah Dekhne Wale" (SubhanALLAH).

BASHARAT-E-MUSTAFAI (SALLA ALLAHU TAALA ALAYHI WA SALLAM)

Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rahmatullah alaih) jo Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) kay mureed thay farmate hai ki ek bar wo bohat pareshan thay ki akhirat mai unka anjaam bakhair hoga ki nahi ye baat Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) apne kashf se malum karli. Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rahmatullah alaih) say farmaya ki ek baar un ko bhi yahi ahsas satane laga tha ki akhir unka akhirat mai kya hoga, bus itna sochna tha ki, Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatualh alaih) ko hamare pyare Nabi(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ki basharat hui aur hamare pyare Nabi(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) nay Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) say farmaya ki tum kya Fazle Rehma jo tum say mohabbat kareyga uska bhi anjaam bakhair hoga.

Isi tarah Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) far matay hai ki unkay peer sahab Hazrat khwaja Afaq Sahab(rahmatualh alaih) aur Hazrat Mujadid Alif Sani (rahmatualh alaih) nay bhi un say farmaya hai ki unkay wasilay say hazaro log bakshay janay walay hai.

 

"Kiska Muqaddar Sajil Hai Ki Pahonche Tujh Tak

Kaun Jane Kahan Tak Hai Wilayat Teri"

 

SHARIYAT KAY BINA KUCH NAHI

Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi (rahmatullah alaih) Sunnat kay sakth paband thay. Aap Hamesha Hanfi Musallay se itefaaq rakhtey thay aur hamesha awal waqt jamat se 5 time namaz ada karte thay. Aap farmate thay ki sunnat hi Gausiyat aur Qutubiyat hai. Aap ne ye bhi farmaya ki Gaus ho ka Qutub jo khilaf-e-shara karey wo kuch bhi nahi. Durood Sharif ki ahmiyat main farmatey ki bakasrat(always) Durood Sharif padha karo. Mujhe jo bhi mila Durood Sharif ki fazilat se hi mila.

 

QURAN-E-PAK KI LAZZAT 

 

Maulvi Tajamul Hussain sahib likhte hai ki ek roz Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) Quran Sharif ki tilawat kar rahay thay achanak unpay kaifiyat tari hogayi Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay Maulvi Tajamul Hussain sahib se farmaya ki jitna lutf mujhe Quran Sharif padhney main ata hai us ka zar-raa(thoda) barabar bhi agar tumhey ajaye to tum hamari tarah baith na sako aur apne kapdey phaad kar jungle main nikal jao. Uske bad Hazrat Maulana Shah Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rahmatullah alaih) nay ek aah li aur apne hujre(hut) main chalegaye aur kaiye roz tak bimar rahie kaifiyat Tilawat-E- Quran Shariff ki wajah say.

 

Ek baar ganjmuradabad sharif kay mutalik Hazrat Fazle Rehma Ganjmuradabadi(rehmatullah alaih) nay farmaya ki is makaam ko abaad huay 300 baras hotay hai aur yahan par kai ek ba nisbat buzug bhi hai lekin jo nisbat Hazrat Gauhar Shaheed(rehmatullah alaih) ki hai wo kisi ki nahi , phir farmaya agar cha sayed Hazrat Masood Salaar Gazi (rehmatullah alaih) yaha aey aur laday wo badey buzurg hai lekin Hazrat Shah Badiuddine Zinda Shah Madar(radiAllahanhu) magar nisbat main fayak(buland) hai.